Kya khabar hai,paper kaisa aaya tha?
Badhiyaa gaya naa.
Haan badhiyaa gaya,lekin physics thora tough tha,itne me bagal wala bolta hai ki Maths bhi tough tha.
Arre bhai tough rahegaa nahin,engineering kaa exam hai,aise hee engineer ban jaaoge,bagal me se ek uncle bolte hain.
Ohh,do aata hua question galat kar diye,isse rank par bahut pharak par jaaega ki.
Itne me ghar pahuchate hain,sablog haal-chaal lete hain.
Abb answer milaane kaa tension.
Raat ko neend nahin aai.
Abb result kaa intezaar.
Badhiyaa rank aa paaegaa ki nahin.
Arre bhai apne aap ko inn 3hours se kyun judge karte ho,ye 3hour tumhaari zindagi nahin hai,zindagi bahut hai,exams ke bahut aage bhi zindagi hai.
Tension kaahe lete ho.
Tension free raho naa.
Abb khoob aaram se so jaao naa.
Thori kahaniyaan padh lo.
Thori music sun lo naa.
Apne doston se thori baat karlo naa.
Apne maa-papa ke kareeb jaao naa.
Bhai bahut accha lagega,thori apni dil ki bhi sun lo naa.
No comments:
Post a Comment