P.K. kaa intezaar kucch mahinon se jaroor tha,waise hee jaise #Aamir khan ki sabhi filmon ke liye rahta hai.Intezaar toh 19 December ko hee khatam ho gaya.Film me manoranjan bhi hai or haan agar nahin bhi hai magar kam se kam #Singham Returns jaisi filmon se neejat jaroor dilaati hai logon KO.
P.K ne samaaj me maujood paakhandi babaon par tamaacha jaroor maara hai,par mere liye tamaache kaa raftaar thora kam laga.Thora or tej or dabaakar maarna chahiye that,thori or sacchai dikhani chahiye this.Hamare samaaj ashankhya baba hain jo sirf ek vyaapaari ke roop me kaam karte hain ,or unhe bass apne munaafe se matlab hai,chaahe wo unhe kisi roop me mile.Sabse boora toh tab lagtaa hai jab padhe likhe log inn pakhandiyon ke jhaanse me aa jaate hain.Agar hum thora saa bhi sajag rahe toh hun #Aasharan,Nityanand,Paakhandi Normal or Rampal jaise looteron se neejat jaroor mil sakta hai
Or agar humlog andhashraddha me doobe rahe toh aane wale samay me pakhand ke or Kai kirdaar paida lenge.
Par aakhir #P.K kaa virodh kyun or kiske dwara?
P.K kaa virodh jo kar rahe hain wo apne aap ko #Hinduon ke pratinidhi batate hain or kahte phir rahe hain ki #P.K ne hindu dharam par chot kiya hai,PK. se hinuon ko khatra ho sakta hai.
Maine bhi P.K dekhi,or bhi bahut hiduon ne #PK dekhi.Or lakhon logon ne bhi,par kya unka dharam nashta ho gaya kya?
Kya unke upar koi khatra kya aa gaya?
Unke astitwsa par koi khatra kya mandraane laga?
Iska seedha jawaab hai nahin,par #PK kaa virodh jo kar rahe hain,jo apne aap ko kisi dharam kaa pratinidhi bata rahe hain unko ye baatana hogs ki wo sirf dhaarmik kattarpanth or thekedaar hain.Aise muddawihin log sirf taak me rahte hain ki unhe kab mauka mile ki wo log saamajik sauhaard ko khatam kar sake in.Baat Muslim or sabhi dhaarmik kattarpantho par laagu hoti hain.
Bhai Desh me aise muddawihin araajkata or virodh ke alaawe bhi kai mahatwapoorna mudde hain.
Assam me jo hinsha hui,uske liye log sadak par kyun nahi utare?
Khair utarte kaise,khoon KO jama dene wali thand jo thee.
Kya hum apne dharam ko itne kamjor samajhte hain,kya hamare dhaarmik sandesh itna kamjor hai ki usse PK jaisi chhoti chijon se muskil hone lagti hai,yaa ye sirf kucch thekedaar aisa samajhte hain or samajhane ki koshish karte hain.
Jarurat hai humein sambhalne ki or PK ki tarah hee inn thekedaaron ko tamaacha maarne ki,jaroorat hai humein sauhaard banaye rakhne ki,jarurat hai humein ekjoot hone ki,jarurat hai humein ek acche or sajag samaaj ke nirmaan karne ki naa ki PK ki virodh karne ki or #Gharwaapsi par gaddar machane ki.
Or haan ho paaye toh sabse pahle apni gharwaapsi sunischita kariye or wrong number se bachiye or ho paaye toh tamaacha jaroor maariye wrong number lagne par.

No comments:
Post a Comment