
The Massacre Man and the butcher of Bihar Barmeshwar Mukhiyaa.
Bihar me nyaya kaa daur chal raha hai,kucch din pahle #Patna high court ne #Shankar Bigha jansanhaar ke abhiyukton ko bari kar diya,wajah bana saboot kaa abhaaw.Isiliye maan liya jaae ki 1999 me Shankar Bigha me 23 daliton ko maara hee nahi gaya,wo toh bass ek boora sapna tha,isilliye usse bhula dena chahiye.
Pichle saal #Bathani Tola ke bhi abhiyukton ko bari kar diya gaya tha,wajah saboot kaa abhaaw.
Aakhiri saboot aaega kahan se,marne
wale logon ki jaan ki keemat hee nahi thi.
Wo sirf or sirf garib log the,unki aukaat bakri waali aukaat thi,isiliye #Policewalon ne saboot dhoondhana sahi nahi samjha.Sarkaar,judge,collector,thane sabhi ne aakhir bata hee diya ki garib ki aukaat bakri ki aukaat hoti hai,ye kahna tha #Laxmanpur Bathe ke ek aise aadmi kaa jisne apna sabkucch kho diya,jeene ki aasha bhi.
Bihar me jaatiya sangharsha ki neeva bahut pahle par chuki thi or bass intezaar tha shole ke bhadakne ki.Aakhir garib bhi kitne dinon tak dabkar rah sakta hai,wo toh sangharsh kartaa hee naa.
Jaatiya sangharsh ka mukhya kaaran tha #Bhoomi kaa galat batwaara,jotaau bhumi kaa.#Sahjaanand ne #Kishan Sabha ke banner tale kucch bhumi sudhaar jaroor kiya,par uske phaayde #Daksheen Bihar ke #Bhumihaaron ko hee mil paaya.
Dalit bhumiheen the or apne gujaare ke liye Ucch jaati ke kheton me kaam kiya karte the jo ki aaj bhi jaari hai.Hamare samaaj me dalit or gareeb ko dabaane kaa parampara hee jaatiya sangharsha kaa mukhya kaaran bana.
Majduron ki anek haytaein hui,#Gaya me khet me kaam karne se mana karne par 9 majduron ko #Rajpoot samanton ke dwara maar diya gaya tha.
#Bhojpur ne toh saamantwaad ki saari hadein paar kar dee thi ,ucch jaati ke saamne ciggarette pine par bhi daliton or pichron ko pitaa jaane laga tha.
Daliton ke andar ki aatma jaagne lagi thi or kucch log jaise #Comrade Ramnaresh Ram jaise logon ne majdooron ko jaatiya utpeeran ke khilaf golband kiya or unlogon ko ek nai aasha di.
Iss golbandi ko dekhtar #Shaashkeeya varg bhi sakte me aa gaya or usne ucchi jaati ke kucch nataon ko jaatiya aadhar par golbandi kaa aadesh de diya.lske baad hee saamanton dwara niji sena banane kaa daur suru hua.Hajaron logon ki hatyaein hui,unme se adheektar bhumiheen majdoor the.Shaskeeya varg ne aisa karna chaaha ki majduron ki kamar hee toot jaaye.#Arwal me 1987 me shaanti se meeting kar rahe 23 CPI(ML) ke cadron ko #Police firing me maar diya gaya,firing kaa order dene wala #S.P CR Kaaswaan #Bhumihaar jaati se tha.Jsisa ki hamare desh me warshon se hota aaya hai,ussi ke anusaar ek investigation committe kaa ghathan hua ,or phir kya,phir sabhi logon ko doshmukta kar diya gaya or kucch logon ko paddonati bhi bhi kar diya gaya.
Niji Senaon me sabse prabhutwa wala #,Ranvir sena raha jiska gathan bhumihaaron dwara 1994 me Bhojpur me koya gaya tha,Jiska sargana that Barmeshwar Mukhiyaa.
Iss niji sena ne South Bihar me jaghanyatam apraadhon ko anjaam diya.Iss sena ne apna prabhutwa wala illaka #Jehanabaad,Arwal,Aurangaabaf or Bhojpur or ,Gaya ko banaya.
Ek jaatiya sena ne do nadiyon ke beech me apne jaghanyatam apraadhon ko anjaam diya.
Ye nadiyaan #Sone or Punpun hain.
Ye dono nadiyaan aaj bhi saamanton kaa prateek hain,jisne anek majdooron ko hatyaa ke baad khooshi-khooshi apne andar sama liya.Ranvir sena ke log hatya ke baad laashon ko inhee do saamanti nadiyon me pheka karte the.
1997 me Arwal ke #Laxman Bathe me 57 bhumiheenon ko maut ki neend sula diya gaya.Marne wale abheektar budhe,bacche or mahillayein thi.
Hatyaa ko sahi thahraate hue ,#Barmeshwar dwara yah daleel diya gaya ki ye mahilaayein bacchon ko janam deti jo aage chalkar naxalu banate,or bacche jo maare gaye wo bacche nahi balki sapole the jo naxali banane ke liye hee paida hue the.
Aaj hamara desh #Taalibaan ke issi prakaar ke farmaan ki neenda karta hai,sabkuch bhulakar ki hamare yahan bhi kucch log aisa hee bayaan diya karta tha.
Bathani Tola,Miyaanpur,Milanpur or
bhi kai jagahon par nreeshansh hatyaaein ki gayi.
2000 ke baad Ranvir sena kaa aukaat ghata or #Jansangharsha ke aage isne bhi ghutne tek diye.
Baat kareeb dhai saal puraani hai jab
#1June 2012 ko #Barmeshwar ko goliyon se #Ara ke sadak par bhoon diya gaya tha or phir iske baad jo bawaal hua or sarkaar ne jiss tarah kaa rookh apnaaya tha usse yahi nishkarsha aaya tha ki saashkiya varg aaj bhi jaatiya golbandi ko hee apna aadhar maanta hai.
Khair,main jaanta hoon ki marne waale garibon ko nyaya saayad hee kabhi mile par unn garibon ke jabbaat ko mera salaam,unke naa jhukne ki kasam ko bhi mera salaam.

No comments:
Post a Comment