Monday, 19 January 2015

Logon Kaa Badaltaa Meejaaj

Mere likhne kaa taaluk #Bihar me badalte shiyashi samikaran se hai,main apne gaon ki baat karne jaa raha hoon Jo ki #Patna se 70 km door daksheeni chor kaa lagbhag antim panchayaton me se ek hai,jo ki #Jehanabaad,#Arwal se ekdum najdeek hain or wahan ke mahaul ko parakhkar aap Bihar me rajneetik haalat ko bhi acchi tarah samajh sakte hain.
Bhumihaar,Yadav,Kurmi-Koiri,Kahaar,Dalits,MuslimMallah,Naaisabhi log iss illake me rahte hain.
Kucch saal pahle tak CPI(ML)
kaa kila hua karta that,is baat me hote hue bhi iss illake me #Bhumihaar sabse bahutaayat me hain,or bilkul saamanti soch wale bhumihaar,jo ek samay #Ranvir Sena ke cadre hua karta tha.
Par kucch saalon me mahaul bilkul basal gaya,CPI(ML) ke cadre voton me bhaari giraawat aai,jiska phaayda sabse pahle RJD ne uthaaya,or RJD be #Paliganj seat se lagaatar do baar chunaaw jita.
Pichle 10 saalon se paliganj ki vidhaayika #Usha Vidyarthi Bjp se hain jo ki bhumihaar hain
.Or paliganj ki janta ke lite so hamesha baahri hee maani jaati hain
,kyunki wo patna ke najdeek #Naubatpur se aati hain.
Bhumihaar ke naarjgi ke bawjood bhi
do baar se chunaaw jeet rahi hain,kyunki vikaash ki aar me jaatiya samikaran aaj bhi sabse sabse jaada mahatwa rakhta hai.
Bhumihaaron ke pass koi doosra vikalpa nahi rah jaata,or #Voting me ek raat pahle meeting boolakar sarwasammati se BJP ke  bhumihaar ummedwaar ko vote dene kaa nirnay liya jaata hai.

Par main aapko 2010 vidhansabha chunaaw se rubaroo karwata hop hoon, jo ki Bihar ke itihaash me ek alag maayne rakha hai.
Uss chunaaw me logon be waakai me jaat-paat se uthkar vote koya that.
#Nitish Kumar ki waakai lahar thi,
uss chunaaw me unkaa vikaash wala agenda joron par tha.
Mere gaon me ek #Muslim gain Jo warso se CPI ke cadre rahe hain,
unhone bhi #BJP ko vote kiya tha.
Poochne par bolte hain ki,unhone BJP ko nahi balki vikaash ko vote diya yaani #Nitish Kumar ko.
Bhumihaar bhi yahi bolte the.
Sabse bari baat ye thi ki #Nitish Kumar ne daliton or anya pichron KO apne saath milaya.

Par 2010 ke baad saayad #Nitish me andar ki mahatwakaansha jaag uthi ,or wo saayad #Muslimon KO apni taraf karne ke liye #Narendra Modi se do-do haath karne ke liye taiyaar hue.
Jiska nateeja sablogon ke saamne hai.
Nitish bhumihaaron ko abhi bhi lubhaane ki koshish me gain,par saayad wo ye nahi jaante ki bhumihaaron ne saayad kasam khaa liya hai ki wo kisi KO bhi vote de denge par Nitish ko nahi.
Aisa main bewajah nahi kah rah hoon, balki aisi or isse bhi jaada khatarnaak baaton ko apne gaon ke dalanon me gunjata sunkar aaya hoon.
Bihar me agar kahein toh #Bhumihaar BJP ke haathon bik se gayein hain.

Nitish #Lalan Singh,Vijay Choudhary or kucch criminal background wale bhumihaar neta jaise #Mokama me #Anant Singh,#Ara ke Sunil Pandey
ko apni party me rakhkar saamanti voton ko apni ore karne ki koshish me hain.
BJP ne kucch mahaul KO bigaarkar toh sabse jaada #Namo-Sumo kaa naam
lekar voton ko apni taraf karne ki koshish me hai.
Log toh abb ye kahte phirte gain ki agar state me bhi BJP aaegi ,tabhi Bihar kaa poora vikash ho sakega.

Nitish-Lalu jo ki abb ek gain,unhe agar BJP ko rokna hain toh unhe MY samikaran ke sage D lagana hoga, ,yaani Dalit-Muslim-Yadav samikaran.
Mahaul toh ye hai ki abb #Upendra Kuswaha jaise log ye kahne large hsin ki wo hee Bihar ki rajneeti me Nate chhatrap banenge.
Nitish-Lalu ko apne party me and at ke bagawaton se acchi tarah nipatna hoga,#Kyunki chunaaw ke samay bahut logon ki #Gharwaapsi ki koshish karwai jaaegi.

Saturday, 17 January 2015

Jaatiya Sangharsha Kaa wo daur or Laal Salaami Jajbaat.


The Massacre Man and the butcher of Bihar Barmeshwar Mukhiyaa.

Bihar me nyaya kaa daur chal raha hai,kucch din pahle #Patna high court ne #Shankar Bigha jansanhaar ke abhiyukton ko bari kar diya,wajah bana saboot kaa abhaaw.Isiliye maan liya jaae ki 1999 me Shankar Bigha me 23 daliton ko maara hee nahi gaya,wo toh bass ek boora sapna tha,isilliye usse bhula dena chahiye.
Pichle saal #Bathani Tola ke bhi abhiyukton ko bari kar diya gaya tha,wajah saboot kaa abhaaw.
Aakhiri saboot aaega kahan se,marne
wale logon ki jaan ki keemat hee nahi thi.
Wo sirf or sirf garib log the,unki aukaat bakri waali aukaat thi,isiliye #Policewalon ne saboot dhoondhana sahi nahi samjha.Sarkaar,judge,collector,thane sabhi ne aakhir bata hee diya ki garib ki aukaat bakri ki aukaat hoti hai,ye kahna tha #Laxmanpur Bathe ke ek aise aadmi kaa jisne apna sabkucch kho diya,jeene ki aasha bhi.

Bihar me jaatiya sangharsha ki neeva bahut pahle par chuki thi or bass intezaar tha shole ke bhadakne ki.Aakhir garib bhi kitne dinon tak dabkar rah sakta hai,wo toh sangharsh kartaa hee naa.
Jaatiya sangharsh ka mukhya kaaran tha #Bhoomi kaa galat batwaara,jotaau bhumi kaa.#Sahjaanand ne #Kishan Sabha ke banner tale kucch bhumi sudhaar jaroor kiya,par uske phaayde #Daksheen Bihar ke #Bhumihaaron ko hee mil paaya.
Dalit bhumiheen the or apne gujaare ke liye Ucch jaati ke kheton me kaam kiya karte the jo ki aaj bhi jaari hai.Hamare samaaj me dalit or gareeb ko dabaane kaa parampara hee jaatiya sangharsha kaa mukhya kaaran bana.
Majduron ki anek haytaein hui,#Gaya me khet me kaam karne se mana karne par 9 majduron ko #Rajpoot samanton ke dwara maar diya gaya tha.
#Bhojpur ne toh saamantwaad ki saari hadein paar kar dee thi ,ucch jaati ke saamne ciggarette pine par bhi daliton or pichron ko pitaa jaane laga tha.
Daliton ke andar ki aatma jaagne lagi thi or kucch log jaise #Comrade Ramnaresh Ram jaise logon ne majdooron ko jaatiya utpeeran ke khilaf golband kiya or unlogon ko ek nai aasha di.
Iss golbandi ko dekhtar #Shaashkeeya varg bhi sakte me aa gaya or usne ucchi jaati ke kucch nataon ko jaatiya aadhar par golbandi kaa aadesh de diya.lske baad hee saamanton dwara niji sena banane kaa daur suru hua.Hajaron logon ki hatyaein hui,unme se adheektar bhumiheen majdoor the.Shaskeeya varg ne aisa karna chaaha ki majduron ki kamar hee toot jaaye.#Arwal me 1987 me shaanti se meeting kar rahe 23 CPI(ML) ke cadron ko #Police firing me maar diya gaya,firing kaa order dene wala #S.P CR Kaaswaan #Bhumihaar jaati se tha.Jsisa ki hamare desh me warshon se hota aaya hai,ussi ke anusaar ek investigation committe kaa ghathan hua ,or phir kya,phir sabhi logon ko doshmukta kar diya gaya or kucch logon ko paddonati bhi bhi kar diya gaya.
Niji Senaon me sabse prabhutwa wala #,Ranvir sena raha jiska gathan bhumihaaron dwara 1994 me Bhojpur me koya gaya tha,Jiska sargana that Barmeshwar Mukhiyaa.
Iss niji sena ne South Bihar me jaghanyatam apraadhon ko anjaam diya.Iss sena ne apna prabhutwa wala illaka #Jehanabaad,Arwal,Aurangaabaf or Bhojpur or ,Gaya ko banaya.
Ek jaatiya sena ne do nadiyon ke beech me apne jaghanyatam apraadhon ko anjaam diya.
Ye nadiyaan #Sone or Punpun hain.
Ye dono nadiyaan aaj bhi saamanton kaa prateek hain,jisne anek majdooron ko hatyaa ke baad khooshi-khooshi apne andar sama liya.Ranvir sena ke log hatya ke baad laashon ko inhee do saamanti nadiyon me pheka karte the.
1997 me Arwal ke #Laxman Bathe me 57 bhumiheenon ko maut ki neend sula diya gaya.Marne wale abheektar budhe,bacche or mahillayein thi.
Hatyaa ko sahi thahraate hue ,#Barmeshwar dwara yah daleel diya gaya ki ye mahilaayein bacchon ko janam deti jo aage chalkar naxalu banate,or bacche jo maare gaye wo bacche nahi balki sapole the jo naxali banane ke liye hee paida hue the.
Aaj hamara desh #Taalibaan ke issi prakaar ke farmaan ki neenda karta hai,sabkuch bhulakar ki hamare yahan bhi kucch log aisa hee bayaan diya karta tha.
Bathani Tola,Miyaanpur,Milanpur or
bhi kai jagahon par nreeshansh hatyaaein ki gayi.
2000 ke baad Ranvir sena kaa aukaat ghata or #Jansangharsha ke aage isne bhi ghutne tek diye.
Baat kareeb dhai saal puraani hai jab
#1June 2012 ko #Barmeshwar ko goliyon se #Ara ke sadak par bhoon diya gaya tha or phir iske baad jo bawaal hua or sarkaar ne jiss tarah kaa rookh apnaaya tha usse yahi nishkarsha aaya tha ki saashkiya varg aaj bhi jaatiya golbandi ko hee apna aadhar maanta hai.
Khair,main jaanta hoon ki marne waale garibon ko nyaya saayad hee  kabhi mile par unn garibon ke jabbaat ko mera salaam,unke naa jhukne ki kasam ko bhi mera salaam.

Thursday, 15 January 2015

Pol Kholtaa P.K

P.K. kaa  intezaar  kucch  mahinon se jaroor tha,waise  hee jaise #Aamir khan ki sabhi filmon ke liye rahta hai.Intezaar toh 19 December ko hee khatam ho gaya.Film me manoranjan bhi hai or haan agar nahin bhi hai magar kam se kam #Singham Returns jaisi filmon se neejat jaroor dilaati hai logon KO.

P.K ne  samaaj me maujood paakhandi babaon par tamaacha jaroor maara hai,par mere liye tamaache kaa raftaar thora kam laga.Thora or tej or dabaakar maarna chahiye that,thori or sacchai dikhani chahiye this.Hamare samaaj ashankhya baba hain jo sirf ek vyaapaari ke roop me kaam karte hain   ,or unhe bass apne munaafe se matlab hai,chaahe wo unhe kisi roop me mile.Sabse boora toh tab lagtaa hai jab padhe likhe log inn pakhandiyon ke jhaanse me aa jaate hain.Agar hum thora saa bhi sajag rahe  toh hun #Aasharan,Nityanand,Paakhandi Normal or Rampal jaise looteron se neejat jaroor mil sakta hai
Or agar humlog  andhashraddha me doobe rahe toh aane wale samay me pakhand ke or Kai kirdaar paida lenge.

Par aakhir #P.K  kaa virodh kyun or kiske dwara?
P.K kaa virodh jo kar rahe hain wo apne aap ko #Hinduon ke pratinidhi batate hain or kahte phir rahe hain ki #P.K ne hindu dharam par chot kiya hai,PK. se hinuon ko khatra ho sakta hai.
Maine bhi P.K dekhi,or bhi bahut hiduon ne #PK dekhi.Or lakhon logon ne bhi,par kya unka dharam nashta ho gaya kya?
Kya unke upar koi khatra kya aa gaya?
Unke astitwsa par koi khatra kya mandraane laga?

Iska seedha jawaab hai nahin,par #PK  kaa virodh jo kar rahe hain,jo apne aap ko kisi dharam kaa pratinidhi bata rahe hain unko ye baatana hogs ki wo sirf  dhaarmik kattarpanth or thekedaar hain.Aise muddawihin log sirf taak me rahte hain ki unhe kab mauka mile ki wo log saamajik sauhaard ko khatam kar sake in.Baat Muslim or sabhi dhaarmik kattarpantho par laagu hoti hain.
Bhai Desh me aise muddawihin araajkata or virodh ke alaawe bhi kai mahatwapoorna mudde hain.
Assam me jo hinsha hui,uske liye log sadak par kyun nahi utare?
Khair utarte kaise,khoon KO jama dene wali thand jo thee.

Kya hum apne dharam ko itne kamjor samajhte hain,kya hamare dhaarmik sandesh itna kamjor hai ki usse  PK jaisi chhoti chijon se muskil hone lagti hai,yaa ye sirf kucch thekedaar aisa samajhte hain or samajhane ki koshish karte hain.
Jarurat hai humein sambhalne ki or PK ki tarah hee inn thekedaaron ko tamaacha maarne ki,jaroorat hai humein sauhaard banaye rakhne ki,jarurat hai humein ekjoot hone ki,jarurat hai humein ek acche or sajag samaaj ke nirmaan karne ki naa ki PK ki virodh karne ki or #Gharwaapsi par gaddar machane ki.
Or haan ho paaye toh sabse pahle apni gharwaapsi sunischita kariye or wrong number se bachiye or ho paaye toh tamaacha jaroor maariye wrong number lagne par.

Monday, 12 January 2015

Wo middleclass ishq

[10:56PM, 10/28/2014] Nishant Sharma.: Ek ladka tha or ek ladki thi,ladki higher middle class family ki
thi or ladka ek lower middle class family kaa tha.Ladke ne
ladki' ko kucch warash pahle hee dekha tha or dekhkar bass
dekhta hee rah gaya tha.Ladke ne ladki ko kabhi vi anjaan
nai samjha par ladka uss ladki ke liye hamesha ek anjaan
saksha hee raha.Ladka uss ladki se kucch hee samay me be-
intehaan mohabbat karne laga tha.Par ladka tha thora
kamjor,wah apni baat ko uss ladki ke saamne kabhi nai rakh
saka,chahe wajah jo vi raha ho.
Bass wah apni priyashee ke khwabon me khoya rahta
tha.Samay kaa paheeya badhta gaya or samai' kaa chakra
aisa badla ki dono ki raahein alag-alag ho chali.Par uss
ladke ko aaj vi uska intezaar hai or hamesha rahega.
Ladki nayein khawbon ko'lekar mahanagar ki ore chali gayi or
ladka vi nayi ucchayiyon ko chune ke liye apna raasta bana
raha hai,phir vi usse aaj vi uss ladki kaa bari hee besabri se
intezaar hai.
khair zindagi toh imtehaan leti hee hain'par dekhna hai kee
ye imtehaan kitna lamba chalta hai.
[10:57PM, 10/28/2014] Nishant Sharma.: Pata nahin kin-kin raahon par chalkar wah ladka mahanagar
pahuch jaata hai,par iss baar wah apne kaam me itna vyasta
hota hai ki usse pata hi nai chalta ki issi mahanagar me uske
liye khaash cheej hai.khair usko wahan 7 din or rookna hota
hai.ek saam ko sahar ki dhool bhari traffic me ladka sahar ke
ek naamchin chowk par kucch aisa dekhta hai,ki bass dekhta
hee rah jaata hai,thik waise hee jaise kucch warash pahle
hua tha.
par uss vyasta traffic me wah ladki ek baar phir uske
aankhon se kahin door apni manzil ki ore chali jaati
hai.ladke kaa rom-rom naye aanand or utsaah se bhar jaata
hai,utna itna rahta hai ki wah apni scooty ko 350cc wala
royal enfield samajh leta hai or sochne lagta hai ki abb toh
wah poori duniya ko hee jeet lega.
Agle din kisi doosre more par phir dono kaa deedar hota
hai.Iss baar ladki ki vi aankhein nahi jhookti or dono ek
doosre ko jee bhar ke dekhte hain.dekhne kaa silsila tootata
hai traffic ke signal hone par.Ladke ke pass aaj phir wahi
scooty hai,ladka sochta hai aaj mujhe kamjor nai rahna
chahiye,aaj apne mann ki baat ko kah hee deta hoon.Uske iss
khayalon ke beech'ladki phir uske nazaron se ojhal ho jaati
hai.
Mahanagron me koi akela nahin aata,savi log apni aankhon
me apne sapne ko lekar hee aate hain.isiliye koi kisi ke liye
nahi rookta hai.

Thursday, 8 January 2015

Meri Wo Maa abb main wo nahi raha par aap wahi ho.

Naukari ke baad ki kahaani-
Sochta hoon ghar jaaun ki naa jaaun,bass 7 din ki hee chhuti
hai,doston ke saath kahin ghumne chala jaata hoon.
Par # Maa ki yaad itne me aa jaati hai or phir mann badal
jaata hai ,phaislaa hota hai kee ghar hee jaaya jaega.
Sochta hoon maa ke liye ek saari le loon,par dar lagta hai
kahin # budhiyaa ko pasand aaegaa ki nahin.Saree ke store
me jaata hoon,kucch samay tak sochta hoon # Cooton # Silk
# Synthetic # Taat me se kya loon.
Yaad aa jaata hai Maa ko Taat or Cotton hee pasand hai
kyunki didi ke saadi me dheeraarhee ke samay hare rang ki
taat saare hee pahni thi wo,
Bass or kya taat or sutti ki ek-ek saari khareed leta hoon.
Tatkaal kaa ticket lekar # Patna aa jaata hoon or chal parta
hoon maa ke pass,iss baar ghar 3 saal baad aaya hoon.Maa
ko dekhta hoon toh filmi maa # Nirupma Rai ki yaad aa jaati
hai or budheeya toh jo gale me latakti hai toh chorne kaa
naam hee nahi leti hai or aankhon se aashun aa jaate
hain,beta kyun nahin aate the!
Saare maa ko de deta hoon,ghar ki or ouratein saare dekhti
hai or uska daam lagaati hain,kucch majak bhee kartee hain
ki babua apan dulhaniyaa laa aisan le aiha.
Maa saatwe aasmaan par thee,uska chhota beta jo aaya
tha,wahi chotka jiske chalte usne #3 # Saal tak # TV bhee
nahin dekhi thee or bahut kashta kiye the.Usse lagta beta ko
kya-Kya khila doon,kabhi kheer banati toh kabhi favourite
pooa.
Maa ko bataya ki 2 din baad jaana hai toh phir kya,budheeya
filmi style me mooh latka lee.Jaane ke waqt maine Maa ke
maathe ko chooma or bina kucch bole chal diya,bina piche
mure,apni manzeel ki ore,Jaate jaate uss budheeya ke liye
mere aankhon me aashun bhar aaye,or jee kiya ki bahut ro
loon.Maa kaa pyar toh hamesha saath rahta hai chahe main
kahin bhee rahoon,wo bass mere dil me hoti hain,ye sochkar
maine apne dil or mann dono ko samajhaya or phir wahin
chal diya jahan se aaya tha Maa ko bina bataye ki abb uska
Chotka kab lautega.www.myimagination.com

That two months after 10 board exams.

There was a period of transition after class 10th.Everything was changing after class 10 board exams.Everyone was busy,busy in planning their future events and plans.Everyone was busy as i repeated it again and again.There was a bright future waiting for one and all.
But,in the midst of all these happenings i was unaware and unconscious of all these happenings.I was just sleeping and sleeping,unconscious of the thoughts and views of the people nearby.I was just living and surviving in my Utopian dream.In a way ramshackling my dreams by clashing with that Utopian dreams.I was sans everything,I was totally confused,there was a chaotic sorts of things all around me.
 There was a conversation gap everywhere around me.
Finally,my father helped me coming out of this silver lining and making me what I am today.
No words to describe you my father.