Friday, 27 March 2015

Punpun se Narmada tak

Jab nadiyon ki baat hoti hai toh mere mann jiss nadi ki pahli tasveer aati hai wo gumnaam Punpun nadi ki tasweer hoti hai.
Bacchpan me pahli baar jiss nadi ko dekha wo Punpun hee thi.
Jahan tak Punpun ke baare me jaantaa hoon toh ye nadi koi gumnaam jagah se nikalkar,gumnaam logon ki bhoomi ko apne bheetar samaati phir koi gumnaam jagah jaakar gaayab ho jaati hai.
Phir Gangaa nadi ko dekha jab meri pardaadi kaa 2000 me dehaant hua tha.Gangaa ke baare me bacchpan me yahi khayaalat the ki wah paani ki koi jagah hai jahan marne ke baad logon ko jalaaya jaata hai.Bacchpan se jo sunnate aaya tha ki marne ke baad jo log Gangaa jaate hain,unhe swarga kaa dwaar miltaa hai.
Dheere-dheere Gangaa ko jaana or samjhaa.Ye bhi jaana ki Gangaa ko dhaarmik rang me kaise rang diyaa gaya hai,ye bhi jaana ki Gangaa par sirf aaryaveer hinduon kaa hee haq hai.
Pata chala ki Gangaa ke paani ko keshariya karne ki kosheesh ki jaa rahi hai.
Phir apni tarah se socha toh pata chala ki paani kaa toh rang#Colourless hota hai,phir toh Gangaa sabki hai.Gangaa par kisi kaa ekaadheekaar nahin hai.
Phir Son nadi ko dekha,isski gumnaami Punpun se thodi kam hai.Ye Amarkantak se nikalkar Bihaar tak jaati hai or phir saayad Gangaa me mil jaati hai.
Ek saptaah pahle kucch college ke doston ke saath Amarkantak ghumne jaane kaa plan bana.
Main toh thahraa naastik,issliye mandiron ko dekhne ki iccha naa thi,Amarkantak me mandiron kaa samooh hai.
Narmada kis prakaar nikalti hogi ,baar-baar yahi baat ko soch raha tha.
Khair dekh bhi liyaa ki Narmada kaise nikalti hai,jahan se Narmada nikalti hai wahan nahaaya bhi.
Agar koi nadiyon se apne liye kucch sikhnaa chaahta hai toh usse nadiyon ko ek vidyaarthi bankar dekhna chaahiye naa ki ek karmkaandi bankar.
Nadiyaan toh khair humein bahut kucch sikhaati hee hain,par bass humein unhe ek vidyaarthi bankar dekhna hota hai.
Aaj bass itna hee.

No comments:

Post a Comment