Monday, 9 February 2015

Mera Wo Gaon

Kabhi kabhaar kisi chij ki yaad apne aap aane lagti hai,Khaaskar jab yaad hamari yaadon se joora hota hai toh yaar or bhi andar tak sama jaati hai .

Aaj ekaek mujhe apne gaon ki yaad aa rahi hai.Aisa lag raha hai ki aaj mujhe wahan hona chahiye that,apne sabse pyaare se jagah hona chahiye tha,apne bachpan ke yaadon wala jagah par hona chahiye tha.
Maa,bhaiyaa,Didi kabhi mere bagair gaon nahi gaye the pahle kabhi kucch saalon se.
Iss baar aisa hua ,wo log ghar gaye or main Raipur me bass yaadon ki baarat nikaal raha hoon.
Iss baar agar main hora toh kitna maja aata kyunki saath me iss baar meri chutki #Bhaginiyaa bhi rahti.

Pata nahin kyun mujhe sahar ke aalishaan maals,theaters,apartments apni ore kheech nahi paate,jitna ki mera wo ekaant me,sahar ke dhool se mukt,bilkul dehaati duniyaa wala mera gaon.
Apne pariwaar se lagaaw yaa gaon se lagaaw,mujhe uski ore kheechti hai.
Wo sirf gaon nahin hain,wo apne andar mere bacchpan ke yaadon ko samete hue mere jeevan kaa uddgam jagah hai,jahan par Maine chalna,bolna or baithna seekha.
Aaj jinn vicharon ko main apne andar liye phirtaa hoon.wo issi jagah ki dee Hui ek anmol vastu hai.
Maane saidhaantik or vaichaarik dono mulyon se main apne gaon se joora hua hoon.
Mujhe wo chhote bagiche,wo kuaan ek alag tarah ki shaanti or vishwaash deta hai.
Wo dhaan se lahlahaate khet mujhe apne #Purkhon ki viraasat ko bachaaye rakhne ki prernaa deta hai.
Sarso or Rabi ke phaslon se lahlahaate khet mujhe ye sikh deta hai ki zindagi me apne aap ko kabhi #Dhannaseth mat samajhana.

No comments:

Post a Comment